Aagha Akbarabadi

chahat ghamze jata rahi hai

Aagha Akbarabadi

chāhat ġhamze jatā rahī hai
vahshat sahrā dikhā rahī hai
ġhunchoñ kā jigar hilā rahī hai
bulbul kyā gul khilā rahī hai
yūsuf kā patā lagā rahī hai
ḳhushbū kan.āñ meñ aa rahī hai
shīrīñ kyā rañg lā rahī hai
āshiq kā lahū bahā rahī hai
kis shoḳh ko dījiye dil-e-zār
kis meñ sāhab vafā rahī hai
āvāza-e-faiz hai jahāñ meñ
jis kī shohrat sadā rahī hai
Daa.in hai parī-vashoñ kī furqat
dil khā ke kaleja khā rahī hai
jaañ nazar huī parī-ruḳhoñ kī
miTTī ko havā uḌā rahī hai
chāhat kī kashish ne lo Dubo dī
yūsuf ko kuñ.eñ jhukā rahī hai
dil meñ jo base hue haiñ gul-rū
surḳhī ā.ankhoñ meñ chhā rahī hai
gahtā huuñ jabīñ ko pā-e-but se
taqdīr likhā miTā rahī hai
hañste hue dekh kar guloñ ko
shabnam aañsū bahā rahī hai
andher kā aaj sāmnā hai
surma vo parī lagā rahī hai
kyuuñ jaan nahīñ nikaltī 'āġhā'
kaise sadme uThā rahī hai
Top Urdushayar.com