Aagha Akbarabadi

ja laDi yar se hamari aankh

Aagha Akbarabadi

jā laḌī yaar se hamārī aañkh
dekho kar baiThī faujdārī aañkh
shoḳhiyāñ bhuul jaa.e āhū-e-chīñ
dekh paa.e agar tumhārī aañkh
laakh inkār mai-kashī se karo
kahīñ chhuptī bhī hai ḳhumārī aañkh
hovegā rañj yā ḳhushī hogī
kyuuñ phaḌakne lagī hamārī aañkh
jānib-e-dar nigāh-e-hasrat hai
kis kī kartī hai intizārī aañkh
kar ke iqrār ho gayā munkir
sāmne aa ke kis ne maarī aañkh
murġh-e-dil par nigāh hai un kī
aisī dekhī nahīñ shikārī aañkh
hai sitam nok-jhoñk chitvan meñ
laḌ rahī hai chhurī kaTārī aañkh
dil jigar donoñ ho ga.e majrūh
ban ga.ī hai chhurī kaTārī aañkh
koī dam meñ ubhārte haiñ use
us ne dekhā ki ham ne maarī aañkh
'āġhā' sāhab tumhāre dilbar kī
kyā rasīlī hai kyā hai pyārī aañkh
Top Urdushayar.com