sarv-qad lāla-ruḳh o ġhuncha-dahan yaad aayā
phir bahār aa.ī mujhe lutf-e-chaman yaad aayā
go ki thī saltanat-e-misr magar āḳhir-e-kār
is hukūmat pe bhī yūsuf ko vatan yaad aayā
rag-e-gul par hai kabhī aur kabhī ġhunche pe nigāh
baaġh meñ kis kī kamar kis kā dahan yaad aayā
safar-e-mulk-e-adam kī huī aisī ujlat
zād-e-rah kuchh na ba-juz gor-o-kafan yaad aayā
sohbat-e-lāla-ruḳhāñ ahd-e-shabāb-o-shab-e-vasl
mai-e-kohna jo milī dāġh-e-kuhan yaad aayā
jab se aayā hai nazar ye tirā husn-e-be-dāġh
kabk ko maah na bulbul ko chaman yaad aayā
tere saudā.ī ko phir josh huā vahshat kā
qaidī-e-zulf ko phir tauq-o-rasan yaad aayā
paan khā kar jo ugaal aap ne thūkā sāhab
jauharī mahv hue la.al-e-yaman yaad aayā
ba.ad muddat ke talab aap ne bande ko kiyā
shukr-sad-shukr maiñ ai mushfiq-e-man yaad aayā
fasl-e-gul aate hī 'āġhā' ne bhī vahshat kī lī
kaisī ye chaal chalā kis kā chalan yaad aayā