ka.ī tarah ke libās-o-hijāb rakkhūñgā
udhaḌ rahā hai ye jīvan naqāb rakkhūñgā
koī kitāb thamā kar ġharīb bachchoñ ko
na.e daraḳhtoñ ke kuchh inqalāb rakkhūñgā
kabhī ġhurūr na aa.e kisī tarah mujh meñ
ki rahmatoñ kā maiñ us kī hisāb rakkhūñgā
mujhe savāl gaḌit ke samajh nahīñ aate
tire fareb ke kaise hisāb rakkhūñgā
bichhaḌ ke shāḳh se bahtā phirūñ razā us kī
kisī daraḳht pe jā kar ye ḳhvāb rakkhūñgā
ki pā liyā hai kise aur kho diyā kis ko
yahī savāl hai kyā kyā javāb rakkhūñgā
tujhe savāl kī mohlat kabhī nahīñ milnī
har ik vaqt ke pahle javāb rakkhūñgā
tumhāre hoñToñ pe maiñ ne kitāb likkhī hai
mirī kitāb kā unvāñ gulāb rakkhūñgā