bahut ḳhuddār hai ghuTnoñ ke bal chal kar nahīñ aatā
vo likhtā hai bahut achchhā magar chhap kar nahīñ aatā
mohabbat ḳhalvat-e-dil meñ utar jaatī hai chupke se
ye aisā hai maraz yaaro kabhī kah kar nahīñ aatā
razā us kī bahātī hai to pattoñ ko kināra hai
magar ḳhud tairtā hai aadmī bah kar nahīñ aatā
jo us ke dil meñ aatā hai vahī kahtā hai mahfil meñ
kabhī likh kar nahīñ laatā kabhī paḌh kar nahīñ aatā
baḌe logoñ se miltā hai bahut mash.hūr duniyā meñ
vo aisā shaḳhs ki ilzām bhī us par nahīñ aatā
faqat qābil huā to kyā bahut kaafī nahīñ itnā
sifārish ke liye vo kyuuñ use mil kar nahīñ aatā