muaaf kījiye gustāḳhiyāñ hamārī haiñ
laboñ pe aap ke ye titliyāñ hamārī haiñ
ye chait kā hai mahīna tumhārī yaad bharā
ki in dinoñ baḌī sar-garmiyāñ hamārī haiñ
tumhāre hoñToñ se kuchh rābte haiñ gahre se
tumhārī āñkhoñ meñ dilchaspiyāñ hamārī haiñ
har ek lafz hai phīkā hai be-svād sā hai
bahut lazīz ye ḳhāmoshiyāñ hamārī haiñ
bharī do-pahrī meñ phailā hai shor yādoñ kā
tumhārī alganī par hichkiyāñ hamārī haiñ