Aagha Akbarabadi

sikka-e-dagh-e-junun milte jo daulat mangta

Aagha Akbarabadi

sikka-e-dāġh-e-junūñ milte jo daulat māñgtā
tañg kartī muflisī gar maiñ farāġhat māñgtā
rañj se fursat na miltī maiñ jo rāhat māñgtā
bojh hotā sar pe gar qārūñ kī daulat māñgtā
gar mujhe hotī ḳhabar merā masīhā aa.egā
ai ajal ik dam kī maiñ bhī tujh se mohlat māñgtā
ḳhizr kī sī zindagī hotī jo mujh nākām kī
maiñ duā-e-vasl-e-jānāñ tā-qayāmat māñgtā
ashk ke dariyā ne rakh lī aabrū ai chashm-e-tar
marte dam do gaz zamīn kyā bahr-e-turbat māñgtā
kis kī aamad aamad apne kalba-e-ahzāñ meñ hai
peshvā.ī ko hai dil pahlū se ruḳhsat māñgtā
dar-guzartā jaan tak kartā zamīñ us se aziiz
mujh se darbān-e-dar-e-jānāñ jo rishvat māñgtā
naza.a tak dīdār kī hasrat rahī mushtāq ko
ai masīhā mar gayā bīmār sharbat māñgtā
dar-ba-dar phirne ne merī qadr khoī ai falak
un ke dil meñ hai jagah miltī jo ḳhalvat māñgtā
minnateñ kar ke chhuḌātā bulbuloñ ko daam se
maiñ zar-e-gul detā agar sayyād qīmat māñgtā
ādamiyyat se haiñ duur in zāhidoñ ke qaul-o-fe.al
haqq-e-maurūsī thā merā kyuuñ maiñ jannat māñgtā
jaan dī nāhaq ko makkāra ke dam meñ aan kar
kohkan shīrīñ se mehnat kī jo ujrat māñgtā
qasd kartā gar bulandī kā to pastī dekhtā
kund ho jaatī tabī.at gar maiñ jaudat māñgtā
zulf ke janjāl meñ phañsne kī ḳhud kartā duā
maiñ siḌī thā jo ḳhudā se apnī shāmat māñgtā
qaa.el apnī guftugū se ḳhaas kā hotā kalīm
'sa.adī'-e-shīrāz bhī mujh se fasāhat māñgtā
yaar hotā baaġh hotā aise gar hote nasīb
mai-kashī kī mohtasib se maiñ ijāzat māñgtā
dasht-e-vahshat-ḳhez meñ uryāñ hai 'āġhā' aap hī
qāsid-e-jānāñ ko kyā detā jo ḳhil.at māñgtā
Top Urdushayar.com