Aagha Akbarabadi

but-e-ghuncha-dahan pe nisar hun main nahin jhuT kuchh isMein KHuda ki qasam

Aagha Akbarabadi

but-e-ġhuncha-dahan pe nisār huuñ maiñ nahīñ jhuuT kuchh is meñ ḳhudā qasam

mirā tā.ir-e-dil isī qaid meñ hai mujhe zulf ke dām-e-balā qasam

nahīñ bhātā mujhe koī rashk-e-parī koī laakh hasīñ ho balā se mirī

mirā dil tirā āshiq-e-shefta hai mujhe tere nāz-o-adā qasam

mire dil ko zarā nahīñ tāb-o-ta.ab ki uThā.ūñ tumhārā ye qahr-o-ġhazab

mire qatl meñ der na chāhiye ab tumheñ apne jaur-o-jafā qasam

na to huur ko ye milā hai namak na parī ke ruḳh meñ hai aisī chamak

tire sāmne phīke haiñ shams-o-qamar mujhe tire ruḳh ziyā qasam

mujhe itr-e-hinā nahīñ hai havā mujhe phūloñ se hotā hai dāġh-e-sivā

kabhī nik.hat-e-zulf suñghā de sabā tujhe nāfa-e-mushk-e-ḳhatā qasam

mire ba.ad sahegā na koī bhī ġham na uThegā kisī se ye rañj-o-alam

karo tark tum aaj se zulm-o-sitam tumheñ apnī mehr-o-vafā qasam

kabhī dard se rotā ho 'āġhā' agar to hañsī se ye kahtā hai vo gul-e-tar

mirā maan kahā are naala na kar tujhe bulbul-e-naġhma-sarā qasam

Top Urdushayar.com