mumkin nahīñ matā-e-suḳhan mujh se chhīn le
go bāġhbāñ ye kunj-e-chaman mujh se chhīn le
gar ehtirām-e-rasm-e-vafā hai to ai ḳhudā
ye ehtirām-e-rasm-e-kohan mujh se chhīn le
manzar dil o nigāh ke jab ho ga.e udaas
ye be-fazā ilāqa-e-tan mujh se chhīn le
gul-rez merī nāla-kashī se hai shāḳh shāḳh
gulchīñ kā bas chale to ye fan mujh se chhīn le
sīñchī haiñ dil ke ḳhuun se maiñ ne ye kiyāriyāñ
kis kī majāl merā chaman mujh se chhīn le