Nasir Kazmi

maine jab likhna sikha tha

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
maiñ ne jab likhnā sīkhā thā
pahle terā naam likhā thā
maiñ vo sabr-e-samīm huuñ jis ne
bār-e-amānat sar pe liyā thā
maiñ vo ism-e-azīm huuñ jis ko
jinn-o-malak ne sajda kiyā thā
tū ne kyuuñ mirā haath na pakḌā
maiñ jab raste se bhaTkā thā
jo paayā hai vo terā hai
jo khoyā vo bhī terā thā
tujh bin saarī umr guzārī
log kaheñge tū merā thā
pahlī bārish bhejne vaale
maiñ tire darshan kā pyāsā thā
Top Urdushayar.com