Nasir Kazmi

jab zara tez hawa hoti hai

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
jab zarā tez havā hotī hai
kaisī sunsān fazā hotī hai
ham ne dekhe haiñ vo sannāTe bhī
jab har ik saañs sadā hotī hai
dil kā ye haal huā tere baad
jaise vīrān sarā hotī hai
ronā aatā hai hameñ bhī lekin
is meñ tauhīn-e-vafā hotī hai
muñh-añdhere kabhī uTh kar dekho
kyā tar o taaza havā hotī hai
ajnabī dhyān kī har mauj ke saath
kis qadar tez havā hotī hai
ġham ke be-nūr guzargāhoñ meñ
ik kiran zauq-fazā hotī hai
ġham-gusār-e-safar-e-rāh-e-vafā
mizha-e-ābla-pā hotī hai
gulshan-e-fikr kī muñh-band kalī
shab-e-mahtāb meñ vā hotī hai
jab nikaltī hai nigār-e-shab-e-gul
muñh pe shabnam kī ridā hotī hai
hādsa hai ki ḳhizāñ se pahle
bū-e-gul gul se judā hotī hai
ik nayā daur janam letā hai
ek tahzīb fanā hotī hai
jab koī ġham nahīñ hotā 'nāsir'
bekalī dil kī sivā hotī hai
Top Urdushayar.com