kyā zamāna thā ki ham roz milā karte the
rāt-bhar chāñd ke hamrāh phirā karte the
jahāñ tanhā.iyāñ sar phoḌ ke so jaatī haiñ
in makānoñ meñ ajab log rahā karte the
kar diyā aaj zamāne ne unheñ bhī majbūr
kabhī ye log mire dukh kī davā karte the
dekh kar jo hameñ chup-chāp guzar jaatā hai
kabhī us shaḳhs ko ham pyaar kiyā karte the
ittifāqāt-e-zamāna bhī ajab haiñ nāsir
aaj vo dekh rahe haiñ jo sunā karte the