qafas ko chaman se sivā jānte haiñ
har ik saañs ko ham sabā jānte haiñ
lahū ro ke sīñchā hai ham ne chaman ko
har ik phuul kā mājrā jānte haiñ
jise naġhma-e-nai samajhtī hai duniyā
use bhī ham apnī sadā jānte haiñ
ishārā kare jo na.ī zindagī kā
ham us ḳhud-kushī ko ravā jānte haiñ
tirī dhun meñ kosoñ safar karne vaale
tujhe sañg-e-manzil-numā jānte haiñ