apnī dhun meñ rahtā huuñ
maiñ bhī tere jaisā huuñ
o pichhlī rut ke sāthī
ab ke baras maiñ tanhā huuñ
terī galī meñ saarā din
dukh ke kañkar chuntā huuñ
mujh se aañkh milā.e kaun
maiñ terā ā.īna huuñ
merā diyā jalā.e kaun
maiñ tirā ḳhālī kamra huuñ
tere sivā mujhe pahne kaun
maiñ tire tan kā kapḌā huuñ
tū jīvan kī bharī galī
maiñ jañgal kā rasta huuñ
aatī rut mujhe ro.egī
jaatī rut kā jhoñkā huuñ
apnī lahr hai apnā rog
dariyā huuñ aur pyāsā huuñ