Nasir Kazmi

saz-e-hasti ki sada ghaur se sun

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
sāz-e-hastī kī sadā ġhaur se sun
kyuuñ hai ye shor bapā ġhaur se sun
din ke hañgāmoñ ko be-kār na jaan
shab ke pardoñ meñ hai kyā ġhaur se sun
chaḌhte sūraj kī adā ko pahchān
Dūbte din kī nidā ġhaur se sun
kyuuñ Thahar jaate haiñ dariyā sar-e-shām
ruuh ke taar hilā ġhaur se sun
yaas kī chhāñv meñ sone vaale
jaag aur shor zarā ġhaur se sun
har-nafas dām-e-giraftārī hai
nau-giraftār-e-balā ġhaur se sun
dil taḌap uThtā hai kyuuñ āḳhir-e-shab
do-ghaḌī kaan lagā ġhaur se sun
usī manzil meñ haiñ sab hijr-o-visāl
rah-rav-e-ābla-pā ġhaur se san
usī goshe meñ haiñ sab dair-o-haram
dil sanam hai ki ḳhudā ġhaur se sun
ka.aba sunsān hai kyuuñ ai vaa.iz
haath kānoñ se uThā ġhaur se sun
maut aur ziist ke asrār-e-rumūz
āmirī bazm meñ aa ġhaur se sun
kyā guzartī hai kisī ke dil par
tū bhī ai jān-e-vafā ġhaur se san
kabhī fursat ho to ai sub.h-e-jamāl
shab-gazīdoñ kī duā ġhaur se san
hai yahī sā.at-e-ījāb-o-qubūl
sub.h kī lau ko zarā ġhaur se sun
kuchh to kahtī haiñ chaTak kar kaliyāñ
kyā sunātī hai sabā ġhaur se sun
barg-e-āvāra bhī ik mutrib hai
tā.ir-e-naġhma-sarā ġhaur se sun
rañg minnat-kash-e-āvāz nahīñ
kal bhī hai ek navā ġhaur se sun
ḳhāmushī hāsil-e-mausīqī hai
naġhma hai naġhma-numā ġhaur se sun
aa.ina dekh ke hairān na ho
naġhma-e-āb-e-safā ġhaur se sun
ishq ko husn se ḳhālī na samajh
nāla-e-ahl-e-vafā ġhaur se sun
dil se har-vaqt koī kahtā hai
maiñ nahīñ tujh se judā ġhaur se sun
har-qadam rāh-e-talab meñ 'nāsir'
jaras-e-dil kī sadā ġhaur se sun
Top Urdushayar.com