Nasir Kazmi

gham-fursati-e-KHwab-e-tarab yaad rahegi

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
ġham-fursati-e-ḳhvāb-e-tarab yaad rahegī
guzrī jo tire saath shab yaad rahegī
har-chand tirā ahd-e-vafā bhuul ga.e ham
vo kashmakash-e-sabr-talab yaad rahegī
siine meñ umañgoñ kā vahī shor hai ab tak
vo shoḳhi-e-yak-jumbish-e-lab yaad rahegī
phir jis ke tasavvur meñ barasne lagīñ āñkheñ
vo barhami-e-sohbat-e-shab yaad rahegī
go hijr ke lamhāt bahut talḳh the lekin
har baat ba-unvān-e-tarab yaad rahegī
Top Urdushayar.com