Aagha Akbarabadi

hazar jaan se sahab nisar hum bhi hain

Aagha Akbarabadi

hazār jaan se sāhab nisār ham bhī haiñ
tumhārī tīr-e-nigah ke shikār ham bhī haiñ
azal se dāḳhil-e-fard-e-shumār ham bhī haiñ
tumhāre chāhne vāloñ meñ yaar ham bhī haiñ
hamesha ham se kudūrat rahī hasīnoñ ko
na dil se nikle kabhī vo ġhubār ham bhī haiñ
musāfiroñ kī tavāzo se naam hotā hai
karam karo ki ġharīb-ud-dayār ham bhī haiñ
sharāb piite haiñ to jāgte haiñ saarī raat
mudām ābid-e-shab-zinda-dār ham bhī haiñ
hazār baar hasīnoñ se ham ne nok kī lī
guloñ kī aañkh meñ khaTke vo ḳhaar ham bhī haiñ
ajiib rutba ināyat kiyā hai qambar ko
ġhulām yā shah-e-duldul-savār ham bhī haiñ
junūñ ke haath se hai in dinoñ garebāñ tañg
qabā pukārtī hai taar taar ham bhī haiñ
baḌe hī chāliye haiñ chaal chalte haiñ har dam
vo chūkte nahīñ par hoshiyār ham bhī haiñ
raqīb ko bhī hai baar un kī bazm meñ 'āġhā'
sharīk-e-sohbat-e-bos-o-kanār ham bhī haiñ
Top Urdushayar.com