dil meñ ik lahr sī uThī hai abhī
koī taaza havā chalī hai abhī
kuchh to nāzuk mizāj haiñ ham bhī
aur ye choT bhī na.ī hai abhī
shor barpā hai ḳhāna-e-dil meñ
koī dīvār sī girī hai abhī
bharī duniyā meñ jī nahīñ lagtā
jaane kis chiiz kī kamī hai abhī
tū sharīk-e-suḳhan nahīñ hai to kyā
ham-suḳhan terī ḳhāmushī hai abhī
yaad ke be-nishāñ jazīroñ se
terī āvāz aa rahī hai abhī
shahr kī be-charāġh galiyoñ meñ
zindagī tujh ko DhūñDtī hai abhī
so ga.e log us havelī ke
ek khiḌkī magar khulī hai abhī
tum to yaaro abhī se uTh baiThe
shahr meñ raat jāgtī hai abhī
vaqt achchhā bhī aa.egā 'nāsir'
ġham na kar zindagī paḌī hai abhī