dhuup niklī din suhāne ho ga.e
chāñd ke sab rañg phīke ho ga.e
kyā tamāshā hai ki be-ayyām-e-gul
Tahniyoñ ke haath piile ho ga.e
is qadar royā huuñ terī yaad meñ
ā.īne āñkhoñ ke dhundle ho ga.e
ham bhalā chup rahne vaale the kahīñ
haañ magar hālāt aise ho ga.e
ab to ḳhush ho jaa.eñ arbāb-e-havas
jaise vo the ham bhī vaise ho ga.e
husn ab hañgāma-ārā ho to ho
ishq ke daave to jhūTe ho ga.e
ai sukūt-e-shām-e-ġham ye kyā huā
kyā vo sab bīmār achchhe ho ga.e
dil ko tere ġham ne phir āvāz dī
kab ke bichhḌe phir ikaTThe ho ga.e
aao 'nāsir' ham bhī apne ghar chaleñ
band is ghar ke darīche ho ga.e