Nasir Kazmi

kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalen

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
kuchh yādgār-e-shahr-e-sitamgar hī le chaleñ
aa.e haiñ is galī meñ to patthar hī le chaleñ
yuuñ kis tarah kaTegā kaḌī dhuup kā safar
sar par ḳhayāl-e-yār kī chādar hī le chaleñ
ranj-e-safar kī koī nishānī to paas ho
thoḌī sī ḳhāk-e-kūcha-e-dilbar hī le chaleñ
ye kah ke chheḌtī hai hameñ dil-giraftagī
ghabrā ga.e haiñ aap to bāhar hī le chaleñ
is shahr-e-be-charāġh meñ jā.egī tū kahāñ
aa ai shab-e-firāq tujhe ghar hī le chaleñ
Top Urdushayar.com