Nasir Kazmi

nasir kya kahta phirta hai kuchh na suno to behtar hai

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
'nāsir' kyā kahtā phirtā hai kuchh na suno to behtar hai
dīvāna hai dīvāne ke muñh na lago to behtar hai
kal jo thā vo aaj nahīñ jo aaj hai kal miT jā.egā
rūkhī-sūkhī jo mil jaa.e shukr karo to behtar hai
kal ye tāb-o-tavāñ na rahegī ThanDā ho jā.egā lahū
nām-e-ḳhudā ho javān abhī kuchh kar guzro to behtar hai
kyā jaane kyā rut badle hālāt kā koī Thiik nahīñ
ab ke safar meñ tum bhī hamāre saath chalo to behtar hai
kapḌe badal kar baal banā kar kahāñ chale ho kis ke liye
raat bahut kaalī hai 'nāsir' ghar meñ raho to behtar hai
Top Urdushayar.com