Nasir Kazmi

dekh mohabbat ka dastur

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
dekh mohabbat kā dastūr
tū mujh se maiñ tujh se duur
tanhā tanhā phirte haiñ
dil vīrāñ āñkheñ be-nūr
dost bichhaḌte jaate haiñ
shauq liye jaatā hai duur
ham apnā ġham bhuul ga.e
aaj kise dekhā majbūr
dil kī dhaḌkan kahtī hai
aaj koī aa.egā zarūr
koshish lāzim hai pyāre
aage jo us ko manzūr
sūraj Duub chalā 'nāsir'
aur abhī manzil hai duur
Top Urdushayar.com