Nasir Kazmi

awwalin chand ne kya baat sujhai mujhko

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
avvalīñ chāñd ne kyā baat sujhā.ī mujh ko
yaad aa.ī tirī añgusht-e-hinā.ī mujh ko
sar-e-aivān-e-tarab naġhma-sarā thā koī
raat bhar us ne tirī yaad dilā.ī mujh ko
dekhte dekhte tāroñ kā safar ḳhatm huā
so gayā chāñd magar niind na aa.ī mujh ko
inhī āñkhoñ ne dikhā.e ka.ī bharpūr jamāl
inhīñ āñkhoñ ne shab-e-hijr dikhā.ī mujh ko
saa.e kī tarah mire saath rahe ranj o alam
gardish-e-vaqt kahīñ raas na aa.ī mujh ko
dhuup idhar Dhaltī thī dil Dūbtā jaatā thā idhar
aaj tak yaad hai vo shām-e-judā.ī mujh ko
shahr-e-lahore tirī raunaqeñ daa.im ābād
terī galiyoñ kī havā khīñch ke laa.ī mujh ko
Top Urdushayar.com