shiddat-e-zāt ne ye haal banāyā apnā
jism-e-majnūñ meñ huā tañg shalokā apnā
yaar bantā nahīñ vo nuur kā putlā apnā
ḳhaak meñ mil gayā tasḳhīr kā da.avā apnā
mai-kashoñ meñ na koī mujh sā namāzī hogā
dar-e-mai-ḳhāna pe bichhtā hai musallā apnā
vasl kī raat bahut tuul huā āḳhir-kār
muḳhtasar ye hai ki faisal huā qissa apnā
gul khilā kar abhī bulbul ko jalā.ūñ kyā kyā
vo ināyat kareñ gar por kā chhallā apnā
rabbī-arenī kī sadā ho bhī to but bol uTheñ
aap dikhlā.eñ agar dair meñ jalva apnā
ā.īna-ḳhāna meñ chal baiThiye do-chār ghaḌī
dekhnā hove jo manzūr tamāshā apnā
jīte-jī ḳhvesh-o-aqārib the pas-e-marg afsos
ḳhaak meñ daab diyā koī na samjhā apnā
kisī sayyād kī paḌ jaa.e na chiḌiyā pe nazar
aap sarkā.eñ na mahram se dupaTTā apnā
aap sau baar ukhaḌ jaa.eñ nahīñ kuchh parvā
jam gayā ek parī-zād se naqsha apnā
dām-e-mahram meñ phañsāyā hai ḳhudā ḳhair kare
āshiyāna na banā baiThe ye chiḌiyā apnā
garm-ḳhvābī ne tirī zab.h kiyā ai qātil
ek dam bhī na kalejā huā ThanDā apnā
riñd-mashrab haiñ kisī se hameñ kuchh kaam nahīñ
dair apnā hai na ka.aba na kalīsā apnā
hai vahī sar vahī saudā vahī josh-e-vahshat
vasl tabdīl huī rañg na badlā apnā
un kī zulfoñ ko ye da.avā hai ki ham kaale haiñ
ham ne bachte nahīñ dekhā kabhī maarā apnā
ġhair se rakhiye na imdād kī ummīd 'āġhā'
kaam aatā hai mirī jaan bharosā apnā