Nasir Kazmi

nasib-e-ishq dil-e-be-qarar bhi to nahin

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
nasīb-e-ishq dil-e-be-qarār bhī to nahīñ
bahut dinoñ se tirā intizār bhī to nahīñ
talāfī-e-sitam-e-rozgār kaun kare
tū ham-suḳhan bhī nahīñ rāz-dār bhī to nahīñ
zamāna pursish-e-ġham bhī kare to kyā hāsil
ki terā ġham ġham-e-lail-o-nihār bhī to nahīñ
tirī nigāh-e-taġhāful ko kaun samjhā.e
ki apne dil pe mujhe iḳhtiyār bhī to nahīñ
tū hī batā ki tirī ḳhāmushī ko kyā samjhūñ
tirī nigāh se kuchh āshkār bhī to nahīñ
vafā nahīñ na sahī rasm-o-rāh kyā kam hai
tirī nazar kā magar e'tibār bhī to nahīñ
agarche dil tirī manzil na ban sakā ai dost
magar charāġh-e-sar-e-rahguzār bhī to nahīñ
bahut fasurda hai dil kaun is ko bahlā.e
udaas bhī to nahīñ be-qarār bhī to nahīñ
tū hī batā tire be-ḳhānumāñ kidhar jaa.eñ
ki raah meñ shajar sāya-dār bhī to nahīñ
falak ne pheñk diyā barg-e-gul kī chhāñv se duur
vahāñ paḌe haiñ jahāñ ḳhār-zār bhī to nahīñ
jo zindagī hai to bas tere dard-mandoñ kī
ye jabr bhī to nahīñ iḳhtiyār bhī to nahīñ
vafā zarīya-e-iz.hār-e-ġham sahī 'nāsir'
ye kārobār koī kārobār bhī to nahīñ
Top Urdushayar.com