dil dhaḌakne kā sabab yaad aayā
vo tirī yaad thī ab yaad aayā
aaj mushkil thā sambhalnā ai dost
tū musībat meñ ajab yaad aayā
din guzārā thā baḌī mushkil se
phir tirā va.ada-e-shab yaad aayā
terā bhūlā huā paimān-e-vafā
mar raheñge agar ab yaad aayā
phir ka.ī log nazar se guzre
phir koī shahr-e-tarab yaad aayā
hāl-e-dil ham bhī sunāte lekin
jab vo ruḳhsat huā tab yaad aayā
baiTh kar sāya-e-gul meñ 'nāsir'
ham bahut ro.e vo jab yaad aayā