Nasir Kazmi

ishq jab zamzama-paira hoga

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
ishq jab zamzama-pairā hogā
husn ḳhud mahv-e-tamāshā hogā
sun ke āvāza-e-zanjīr-e-sabā
qafas-e-ġhuncha kā dar vā hogā
jaras-e-shauq agar saath rahī
har-nafas shahpar-e-anqā hogā
daa.im ābād rahegī duniyā
ham na hoñge koī ham sā hogā
kaun dekhegā tulū-e-ḳhurshī
zarra jab dīda-e-bīnā hogā
ham tujhe bhuul ke ḳhush baiThe haiñ
ham sā bedard koī kyā hogā
phir sulagne lagā sahrā-e-ḳhayāl
abr ghir kar kahīñ barsā hogā
phir kisī dhyān ke sad-rāhe par
dil-e-hairat-zadā tanhā hogā
phir kisī sub.h-e-tarab kā jaadū
parda-e-shab se huvaidā hogā
gul-zamīnoñ ke ḳhunuk ramnoñ meñ
jashn-e-rāmish-garī barpā hogā
phir na.ī rut kā ishāra pā kar
vo saman-bū chaman-ārā hogā
gul-shab-tāb kī ḳhushbū le kar
ablaq-e-sub.h ravāna hogā
phir sar-e-shāḳh-e-shuā-e-ḳhurshīd
nik.hat-e-gul kā baserā hogā
ik sadā sañg meñ taḌpī hogī
ik sharar phuul meñ larzā hogā
tujh ko har phuul meñ uryāñ sote
chāñdnī-rāt ne dekhā hogā
dekh kar ā.ina-e-āb-e-ravāñ
patta patta lab-e-goyā hogā
shaam se soch rahā huuñ 'nāsir'
chāñd kis shahr meñ utrā hogā
Top Urdushayar.com