Nasir Kazmi

mahrum-e-KHwab dida-e-hairan na tha kabhi

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
mahrūm-e-ḳhvāb dīda-e-hairāñ na thā kabhī
terā ye rañg ai shab-e-hijrāñ na thā kabhī
thā lutf-e-vasl aur kabhī afsūn-e-intizār
yuuñ dard-e-hijr silsila-jumbāñ na thā kabhī
pursāñ na thā koī to ye rusvā.iyāñ na thiiñ
zāhir kisī pe hāl-e-pareshāñ na thā kabhī
har-chand ġham bhī thā magar ehsās-e-ġham na thā
darmāñ na thā to mātam-e-darmāñ na thā kabhī
din bhī udaas aur mirī raat bhī udaas
aisā to vaqt ai ġham-e-daurāñ na thā kabhī
daur-e-ḳhizāñ meñ yuuñ mire dil ko qarār hai
maiñ jaise āshnā-e-bahārāñ na thā kabhī
kyā din the jab nazar meñ ḳhizāñ bhī bahār thī
yuuñ apnā ghar bahār meñ vīrāñ na thā kabhī
be-kaif be-nashāt na thī is qadar hayāt
jiinā agarche ishq meñ āsāñ na thā kabhī
Top Urdushayar.com