daf.atan dil meñ kisī yaad ne lī añgḌā.ī
is ḳharābe meñ ye dīvār kahāñ se aa.ī
aaj khulne hī ko thā dard-e-mohabbat kā bharam
vo to kahiye ki achānak hī tirī yaad aa.ī
bas yuuñ hī dil ko tavaqqo sī hai tujh se varna
jāntā huuñ ki muqaddar hai mirā tanhā.ī
nashsha-e-talḳhī-e-ayyām utartā hī nahīñ
terī nazroñ ne gulābī to bahut chhalkā.ī
yuuñ to har shaḳhs akelā hai bharī duniyā meñ
phir bhī har dil ke muqaddar meñ nahīñ tanhā.ī
Dūbte chāñd pe roī haiñ hazāroñ āñkheñ
maiñ to royā bhī nahīñ tum ko hañsī kyuuñ aa.ī
raat bhar jāgte rahte ho bhalā kyuuñ 'nāsir'
tum ne ye daulat-e-bedār kahāñ se paa.ī