Nasir Kazmi

din ka phul abhi jaga tha

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
din kā phuul abhī jaagā thā
dhuup kā haath baḌhā aatā thā
surḳh chanāroñ ke jañgal meñ
patthar kā ik shahr basā thā
piile pathrīle hāthoñ meñ
niilī jhiil kā ā.īna thā
ThanDī dhuup kī chhatrī taane
peḌ ke pīchhe peḌ khaḌā thā
dhuup ke laal hare hoñToñ ne
tere bāloñ ko chūmā thā
tere aks kī hairānī se
bahtā chashma Thahar gayā thā
terī ḳhamoshī kī shah pā kar
maiñ kitnī bāteñ kartā thā
terī hilāl sī uñglī pakḌe
maiñ kosoñ paidal chaltā thā
āñkhoñ meñ tirī shakl chhupā.e
maiñ sab se chhuptā phirtā thā
bhūlī nahīñ us raat kī dahshat
charḳh pe jab taarā TuuTā thā
raat ga.e sone se pahle
tū ne mujh se kuchh pūchhā thā
yuuñ guzrī vo raat bhī jaise
sapne meñ sapnā dekhā thā
Top Urdushayar.com