Nasir Kazmi

pichhle pahar ka sannaTa tha

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
pichhle pahar kā sannāTā thā
taarā taarā jaag rahā thā
patthar kī dīvār se lag kar
ā.īna tujhe dekh rahā thā
bāloñ meñ thī raat kī raanī
māthe par din kā raajā thā
ik ruḳhsār pe zulf girī thī
ik ruḳhsār pe chāñd khilā thā
ThoḌī ke jagmag shīshe meñ
hoñToñ kā saayā paḌtā thā
chandr kiran sī uñglī uñglī
nāḳhun nāḳhun hiirā sā thā
ik paañv meñ phuul sī juutī
ik paañv saarā nañgā thā
tere aage sham.a dharī thī
sham.a ke aage ik saayā thā
tere saa.e kī lahroñ ko
merā saayā kaaT rahā thā
kaale patthar kī sīḌhī par
nargis kā ik phuul khilā thā
Top Urdushayar.com