yaad aatā hai roz o shab koī
ham se rūThā hai be-sabab koī
lab-e-jū chhāñv meñ daraḳhtoñ kī
vo mulāqāt thī ajab koī
jab tujhe pahlī baar dekhā thā
vo bhī thā mausam-e-tarab koī
kuchh ḳhabar le ki terī mahfil se
duur baiThā hai jāñ-ba-lab koī
na ġham-e-zindagī na dard-e-firāq
dil meñ yūñhī sī hai talab koī
yaad aatī haiñ duur kī bāteñ
pyaar se dekhtā hai jab koī
choT khaa.ī hai bār-hā lekin
aaj to dard hai ajab koī
jin ko miTnā thā miT chuke 'nāsir'
un ko rusvā kare na ab koī