girafta-dil haiñ bahut aaj tere dīvāne
ḳhudā kare koī tere sivā na pahchāne
miTī miTī sī umīdeñ thake thake se ḳhayāl
bujhe bujhe se nigāhoñ meñ ġham ke afsāne
hazār shukr ki ham ne zabāñ se kuchh na kahā
ye aur baat ki pūchhā na ahl-e-duniyā ne
ba-qadr-e-tishna-labī pursish-e-vafā na huī
chhalak ke rah ga.e terī nazar ke paimāne
ḳhayāl aa gayā mānūs rahguzāroñ kā
palaT ke aa ga.e manzil se tere dīvāne
kahāñ hai tū ki tire intizār meñ ai dost
tamām raat sulagte haiñ dil ke vīrāne
umīd-e-pursish-e-ġham kis se kījiye 'nāsir'
jo apne dil pe guzartī hai koī kyā jaane