Nasir Kazmi

dil mein aur to kya rakkha hai

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
dil meñ aur to kyā rakkhā hai
terā dard chhupā rakkhā hai
itne dukhoñ kī tez havā meñ
dil kā diip jalā rakkhā hai
dhuup se chehroñ ne duniyā meñ
kyā andher machā rakkhā hai
is nagrī ke kuchh logoñ ne
dukh kā naam davā rakkhā hai
vāda-e-yār kī baat na chheḌo
ye dhokā bhī khā rakkhā hai
bhuul bhī jaao biitī bāteñ
in bātoñ meñ kyā rakkhā hai
chup chup kyuuñ rahte ho 'nāsir'
ye kyā rog lagā rakkhā hai
Top Urdushayar.com