Nasir Kazmi

kisi kali ne bhi dekha na aankh bhar ke mujhe

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
kisī kalī ne bhī dekhā na aañkh bhar ke mujhe
guzar ga.ī jaras-e-gul udaas kar ke mujhe
maiñ so rahā thā kisī yaad ke shabistāñ meñ
jagā ke chhoḌ ga.e qāfile sahar ke mujhe
maiñ ro rahā thā muqaddar kī saḳht rāhoñ meñ
uḌā ke le ga.e jaadū tirī nazar ke mujhe
maiñ tere dard kī tuġhyāniyoñ meñ Duub gayā
pukārte rahe taare ubhar ubhar ke mujhe
tire firāq kī rāteñ kabhī na bhūleñgī
maze mile unhīñ rātoñ meñ umr bhar ke mujhe
zarā sī der Thaharne de ai ġham-e-duniyā
bulā rahā hai koī baam se utar ke mujhe
phir aaj aa.ī thī ik mauja-e-havā-e-tarab
sunā ga.ī hai fasāne idhar udhar ke mujhe
Top Urdushayar.com