Nasir Kazmi

tu hai ya tera saya hai

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
tū hai yā terā saayā hai
bhes judā.ī ne badlā hai
dil kī havelī par muddat se
ḳhāmoshī kā qufl paḌā hai
chīḳh rahe haiñ ḳhālī kamre
shaam se kitnī tez havā hai
darvāze sar phoḌ rahe haiñ
kaun is ghar ko chhoḌ gayā hai
tanhā.ī ko kaise chhoḌūñ
barsoñ meñ ik yaar milā hai
raat añdherī naav na sāthī
raste meñ dariyā paḌtā hai
hichkī thamtī hī nahīñ 'nāsir'
aaj kisī ne yaad kiyā hai
Top Urdushayar.com