tum aa ga.e ho to kyuuñ intizār-e-shām kareñ
kaho to kyuuñ na abhī se kuchh ehtimām kareñ
ḳhulūs-o-mehr-o-vafā log kar chuke haiñ bahut
mire ḳhayāl meñ ab aur koī kaam kareñ
ye ḳhās-o-ām kī be-kār guftugū kab tak
qubūl kījiye jo faisla avaam kareñ
har aadmī nahīñ shā.ista-e-rumūz-e-suḳhan
vo kam-suḳhan ho muḳhātab to ham-kalām kareñ
judā hue haiñ bahut log ek tum bhī sahī
ab itnī baat pe kyā zindagī harām kareñ
ḳhudā agar kabhī kuchh iḳhtiyār de ham ko
tū pahle ḳhāk-nashīnoñ kā intizām kareñ
rah-e-talab meñ jo gumnām mar ga.e 'nāsir'
matā-e-dard unhī sāthiyoñ ke naam kareñ