ḳhud mazedār tabī.at hai to sāmāñ kaisā
zaḳhm-e-dil aap haiñ shorish pe namak-dāñ kaisā
haath vahshat meñ na poñchhe to garebāñ kaisā
ḳhār-e-sahrā se na uljhe to vo dāmāñ kaisā
kūcha-e-yār ko da.avā hai ki jannat maiñ huuñ
ḳhuld kahte haiñ kise rauza-e-rizvāñ kaisā
usī ma.abūd kā hai dair-o-haram meñ jalva
bahs kis baat kī hai gabr o musalmāñ kaisā
va.ada-e-bāda-e-at.har kā bharosa kab tak
chal ke bhaTTī pe piyeñ jur.a-e-irfāñ kaisā
ham hue 'qais' hue 'vāmiq' o 'farhād' hue
zulf-e-pur-ḳham ne kiyā sab ko pareshāñ kaisā
duur ke Dhol haiñ yūsuf kī kahānī sāhab
kis ko ma.alūm hai hogā mah-e-kan.āñ kaisā
tere qurbān maiñ itnā to batā de qātil
merī gardan pe chalā ḳhanjar-e-burrāñ kaisā
dil ke ā.īne meñ tasvīr-e-sanam rakhtā hai
nahīñ ma.alūm ki 'āġhā' hai musalmāñ kaisā