ye sitam aur ki ham phuul kaheñ ḳhāroñ ko
is se to aag hī lag jaa.e saman-zāroñ ko
hai abas fikr-e-talāfī tujhe ai jān-e-vafā
dhun hai ab aur hī kuchh tere talab-gāroñ ko
tan-e-tanhā hī guzārī haiñ añdherī rāteñ
ham ne ghabrā ke pukārā na kabhī tāroñ ko
nā-gahāñ phuuT paḌe raushniyoñ ke jharne
ek jhoñkā hī uḌā le gayā añdhiyāroñ ko
saare is daur kī muñh boltī tasvīreñ haiñ
koī dekhe mire dīvān ke kirdāroñ ko
nāla-e-āḳhir-e-shab kis ko sunā.ūñ 'nāsir'
niiñd pyārī hai mire daur ke fankāroñ ko