Nasir Kazmi

wo is ada se jo aae to kyun bhala na lage

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
vo is adā se jo aa.e to kyuuñ bhalā na lage
hazār baar milo phir bhī āshnā na lage
kabhī vo ḳhaas ināyat ki sau gumāñ guzrīñ
kabhī vo tarz-e-taġhāful ki mahramāna lage
vo sīdhī-sādī adā.eñ ki bijliyāñ barseñ
vo dil-barāna muravvat ki āshiqāna lage
dikhā.ūñ dāġh-e-mohabbat jo nāgavār na ho
sunā.ūñ qissa-e-furqat agar burā na lage
bahut hī saada hai tū aur zamāna hai ayyār
ḳhudā kare ki tujhe shahr kī havā na lage
bujhā na deñ ye musalsal udāsiyāñ dil ko
vo baat kar ki tabī.at ko tāziyāna lage
jo ghar ujaḌ ga.e un kā na rañj kar pyāre
vo chāra kar ki ye gulshan ujaaḌ sā na lage
itāb-e-ahl-e-jahāñ sab bhulā diye lekin
vo zaḳhm yaad haiñ ab tak jo ġhā.ebāna lage
vo rañg dil ko diye haiñ lahū kī gardish ne
nazar uThā.ūñ to duniyā nigār-ḳhāna lage
ajiib ḳhvāb dikhāte haiñ nā-ḳhudā ham ko
ġharaz ye hai ki safīna kināre jā na lage
liye hī jaatī hai har-dam koī sadā 'nāsir'
ye aur baat surāġh-e-nishān-e-pā na lage
Top Urdushayar.com