dayār-e-dil kī raat meñ charāġh sā jalā gayā
milā nahīñ to kyā huā vo shakl to dikhā gayā
vo dostī to ḳhair ab nasīb-e-dushmanāñ huī
vo chhoTī chhoTī ranjishoñ kā lutf bhī chalā gayā
judā.iyoñ ke zaḳhm dard-e-zindagī ne bhar diye
tujhe bhī niiñd aa ga.ī mujhe bhī sabr aa gayā
pukārtī haiñ fursateñ kahāñ ga.iiñ vo sohbateñ
zamīñ nigal ga.ī unheñ ki āsmān khā gayā
ye sub.h kī safediyāñ ye dopahar kī zardiyāñ
ab aa.ine meñ dekhtā huuñ maiñ kahāñ chalā gayā
ye kis ḳhushī kī ret par ġhamoñ ko niiñd aa ga.ī
vo lahr kis taraf ga.ī ye maiñ kahāñ samā gayā
ga.e dinoñ kī laash par paḌe rahoge kab talak
alam-kasho uTho ki āftāb sar pe aa gayā