Nasir Kazmi

dukh ki lahar ne chheDa hoga

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
dukh kī lahar ne chheḌā hogā
yaad ne kañkar pheñkā hogā
aaj to merā dil kahtā hai
tū is vaqt akelā hogā
mere chūme hue hāthoñ se
auroñ ko ḳhat likhtā hogā
bhiig chalīñ ab raat kī palkeñ
tū ab thak kar soyā hogā
rail kī gahrī siiTī sun kar
raat kā jañgal gūñjā hogā
shahr ke ḳhālī station par
koī musāfir utrā hogā
āñgan meñ phir chiḌiyāñ bolīñ
tū ab so kar uTThā hogā
yādoñ kī jaltī shabnam se
phuul sā mukhḌā dhoyā hogā
motī jaisī shakl banā kar
ā.īne ko taktā hogā
shaam huī ab tū bhī shāyad
apne ghar ko lauTā hogā
niilī dhuñdlī ḳhāmoshī meñ
tāroñ kī dhun suntā hogā
merā sāthī shaam kā taarā
tujh se aañkh milātā hogā
shaam ke chalte haath ne tujh ko
merā salām to bhejā hogā
pyāsī kurlātī kūñjoñ ne
merā dukh to sunāyā hogā
maiñ to aaj bahut royā huuñ
tū bhī shāyad royā hogā
'nāsir' terā miit purānā
tujh ko yaad to aatā hogā
Top Urdushayar.com