o mere masrūf ḳhudā
apnī duniyā dekh zarā
itnī ḳhilqat ke hote
shahroñ meñ hai sannāTā
jhoñpaḌī vāloñ kī taqdīr
bujhā bujhā sā ek diyā
ḳhaak uḌāte haiñ din raat
mīloñ phail ga.e sahrā
zaaġh o zaġhan kī chīḳhoñ se
sonā jañgal guuñj uThā
sūraj sar pe aa pahuñchā
garmī hai yā roz-e-jazā
pyāsī dhartī jaltī hai
suukh ga.e bahte dariyā
fasleñ jal kar raakh huiiñ
nagrī nagrī kaal paḌā