Nasir Kazmi

jurm-e-ummid ki saza hi de

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
jurm-e-ummīd kī sazā hī de
mere haq meñ bhī kuchh sunā hī de
ishq meñ ham nahīñ ziyāda talab
jo tirā nāz-e-kam-nigāhī de
tū ne tāroñ se shab kī maañg bharī
mujh ko ik ashk-e-sub.h-gāhī de
tū ne banjar zamīñ ko phuul diye
mujh ko ik zaḳhm-e-dil-kushā hī de
bastiyoñ ko diye haiñ tū ne charāġh
dasht-e-dil ko bhī koī raahī de
umr bhar kī navā-garī kā sila
ai ḳhudā koī ham-navā hī de
zard-rū haiñ varaq ḳhayāloñ ke
ai shab-e-hijr kuchh syāhī de
gar majāl-e-suḳhan nahīñ 'nāsir'
lab-e-ḳhāmosh se gavāhī de
Top Urdushayar.com