Nasir Kazmi

teri zulfon ke bikharne ka sabab hai koi

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
terī zulfoñ ke bikharne kā sabab hai koī
aañkh kahtī hai tire dil meñ talab hai koī
aañch aatī hai tire jism kī uryānī se
pairahan hai ki sulagtī huī shab hai koī
hosh uḌāne lagīñ phir chāñd kī ThanDī kirneñ
terī bastī meñ huuñ yā ḳhvāb-e-tarab hai koī
giit buntī hai tire shahr kī bharpūr havā
ajnabī maiñ hī nahīñ tū bhī ajab hai koī
liye jaatī haiñ kisī dhyān kī lahreñ 'nāsir'
duur tak silsila-e-tāk-e-tarab hai koī
Top Urdushayar.com