namāz kaisī kahāñ kā roza abhī maiñ shaġhl-e-sharāb meñ huuñ
ḳhudā kī yaad aa.e kis tarah se butoñ ke qahr-o-itāb meñ huuñ
sharāb kā shaġhl ho rahā hai baġhal meñ paatā huuñ maiñ kisī ko
maiñ jāgtā huuñ ki so rahā huuñ ḳhayāl meñ huuñ ki ḳhvāb meñ huuñ
na chheḌ is vaqt mujh ko zāhid nahīñ ye mauqa.a hai guftugū kā
savār jaatā hai vo sharābī maiñ hāzir us kī rikāb meñ huuñ
kabhī sharābī kabhī namāzī kabhī huuñ maiñ rind-gāh zāhid
ḳhudā kā Dar hai butoñ kā khaTkā ajab tarah ke azaab meñ huuñ
qayāmat aane kā ḳhauf kaisā taraddud-o-fikr kyuuñ hai 'āġhā'
hisāb kyā koī mujh se legā batā to maiñ kis hisāb meñ huuñ