in sahme hue shahroñ kī fazā kuchh kahtī hai
kabhī tum bhī suno ye dhartī kyā kuchh kahtī hai
ye ThiThurī huī lambī rāteñ kuchh pūchhtī haiñ
ye ḳhāmushī āvāz-numā kuchh kahtī hai
sab apne gharoñ meñ lambī taan ke sote haiñ
aur duur kahīñ koyal kī sadā kuchh kahtī hai
jab raat ko taare baarī baarī jāgte haiñ
ka.ī Duube hue tāroñ kī nidā kuchh kahtī hai
kabhī bhor bha.e kabhī shaam paḌe kabhī raat ga.e
har aan badaltī rut kī havā kuchh kahtī hai
mehmān haiñ ham mehmān-sarā hai ye nagrī
mehmānoñ ko mehmān-sarā kuchh kahtī hai
bedār raho bedār raho bedār raho
ai ham-safaro āvāz-e-darā kuchh kahtī hai
'nāsir' āshob-e-zamāna se ġhāfil na raho
kuchh hotā hai jab ḳhalq-e-ḳhudā kuchh kahtī hai