tū asīr-e-bazm hai ham-suḳhan tujhe zauq-e-nāla-e-nai nahīñ
tirā dil gudāz ho kis tarah ye tire mizāj kī lai nahīñ
tirā har kamāl hai zāhirī tirā har ḳhayāl hai sarsarī
koī dil kī baat karūñ to kyā tire dil meñ aag to hai nahīñ
jise sun ke ruuh mahak uThe jise pī ke dard chahak uThe
tire saaz meñ vo sadā nahīñ tire mai-kade meñ vo mai nahīñ
kahāñ ab vo mausam-e-rañg-o-bū ki ragoñ meñ bol uThe lahū
yūñhī nāgavār chubhan sī hai ki jo shāmil-e-rag-o-pai nahīñ
tirā dil ho dard se āshnā to ye naala ġhaur se sun zarā
baḌā jāñ-gusil hai ye vāqi.a ye fasāna-e-jam-o-kai nahīñ
maiñ huuñ ek shā.ir-e-be-navā mujhe kaun chāhe mire sivā
maiñ amīr-e-shām-o-ajam nahīñ maiñ kabīr-e-kūfa-o-rai nahīñ
yahī sher haiñ mirī saltanat isī fan meñ hai mujhe āfiyat
mire kāsa-e-shab-o-roz meñ tire kaam kī koī shai nahīñ