Nasir Kazmi

tanhai ka dukh gahra tha

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
tanhā.ī kā dukh gahrā thā
maiñ dariyā dariyā rotā thā
ek hī lahar na sambhalī varna
maiñ tūfānoñ se khelā thā
tanhā.ī kā tanhā saayā
der se mere saath lagā thā
chhoḌ ga.e jab saare sāthī
tanhā.ī ne saath diyā thā
suukh ga.ī jab sukh kī Daalī
tanhā.ī kā phuul khilā thā
tanhā.ī meñ yād-e-ḳhudā thī
tanhā.ī meñ ḳhauf-e-ḳhudā thā
tanhā.ī mehrāb-e-ibādat
tanhā.ī mimbar kā diyā thā
tanhā.ī mirā pā-e-shikasta
tanhā.ī mirā dast-e-duā thā
vo jannat mire dil meñ chhupī thī
maiñ jise bāhar DhūñD rahā thā
tanhā.ī mire dil kī jannat
maiñ tanhā huuñ maiñ tanhā thā
Top Urdushayar.com