Nasir Kazmi

sunata hai koi bholi kahani

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
sunātā hai koī bholī kahānī
mahakte mīThe dariyāoñ kā paanī
yahāñ jañgal the ābādī se pahle
sunā hai maiñ ne logoñ kī zabānī
yahāñ ik shahar thā shahr-e-nigārāñ
na chhoḌī vaqt ne is kī nishānī
maiñ vo dil huuñ dabistān-e-alam kā
jise ro.egī barsoñ shādmānī
tahayyur ne use dekhā hai akasr
ḳhirad kahtī hai jis ko lā-makānī
ḳhayāloñ hī meñ akasr baiThe baiThe
basā letā huuñ ik duniyā suhānī
hujūm-e-nashsha-e-fikr-e-suḳhan meñ
badal jaate haiñ lafzoñ ke ma.ānī
batā ai zulmat-e-sahrā-e-imkāñ
kahāñ hogā mire ḳhvāboñ kā saanī
añdherī shaam ke pardoñ meñ chhup kar
kise rotī hai chashmoñ kī ravānī
kiran pariyāñ utartī haiñ kahāñ se
kahāñ jaate haiñ riste kahkashānī
pahāḌoñ se chalī phir koī āñdhī
uḌe jaate haiñ aurāq-e-ḳhizānī
na.ī duniyā ke hañgāmoñ meñ 'nāsir'
dabī jaatī haiñ āvāzeñ purānī
Top Urdushayar.com